Dil aakhir tu kyun rota hai…


There is one scene in “Zindagi Na Milegi Dobara” , where Arjun ( I really don’t mind calling by the Character’s name in place of the much bigger star they are), after experiencing Scuba diving for the first time says ” Aisa laga jaise , Bas saans lete raho”
This somehow sets the tone of the movie .

After “Udaan ” this one was another movie with such soulful poems.

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannaate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi namm hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai.

Another one after Arjun being breathless, teary eyed and all four after their scuba diving experience , sharing few minutes of silence among themselves was scene stealer…

Pighle neelam sa behta ye sama,
Neeli neeli si khamoshiyan,
Na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
Sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan, bas main hoon,
Meri saansein hain aur meri dhadkanein,
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
Aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.

JAved Akhtar is on his very best on this one .
Ek baat honthon tak hai jo aayi nahin,
bas aankhon se hai jhaankti,
tumse kabhi,
mujhse kabhi,
kuch lafz hai woh maangti,
jinko pehanke honthon tak aa jaye,
aawaaz ki baahon mein baahein daal ke ithlaaye woh,
lekin jo yeh baat hai,
ehsaas hi ehsaas hai,
khushboo si hai jaise hawaa mein tairti,
khushboo jo beawaaz hai,
jiska pataa tumko bhi hai,
jiska pataa mujhko bhi hai,
duniya se bhi chhupta nahin,
yeh jaane kaisa raaz hai.

And how tactically correct the team of “Zindagi Na milegi Dobara” were, when they never promoted the poems except this one.

Dilon mein tum apni Betaabiyan leke chal rahe ho,Toh zinda ho tum
Nazar mein khwabon ki Bijliyan leke chal rahe ho,Toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise Aazad rehno sikho
Tum ek dariya ke jaise Lehron mein behna sikho
Hal ek lamhe se tum milo Khole apni bhaayein
Har ek pal ek naya samay Dekhen yeh nigahaein
Jo apni aankhon mein Hairaniyan leke chal rahe ho ,Toh zinda ho tum

4 thoughts on “Dil aakhir tu kyun rota hai…

  1. sir, here is the fourth one. thnx fr sharing the other three. 🙂 regards

    Ek baat honthon tak hai jo aayi nahin,
    bas aankhon se hai jhaankti,
    tumse kabhi,
    mujhse kabhi,
    kuch lafz hai woh maangti,
    jinko pehanke honthon tak aa jaye,
    aawaaz ki baahon mein baahein daal ke ithlaaye woh,
    lekin jo yeh baat hai,
    ehsaas hi ehsaas hai,
    khushboo si hai jaise hawaa mein tairti,
    khushboo jo beawaaz hai,
    jiska pataa tumko bhi hai,
    jiska pataa mujhko bhi hai,
    duniya se bhi chhupta nahin,
    yeh jaane kaisa raaz hai.

    Like

Leave a comment